Taskheer E Jinn Ka Qurani Amal:

Sab se pehlay amil kay kheyalat pak , saf hona zaroori hain kay amal naik maqsad kay liay kiya jaa raha hai aur yeh kay amil himmat aur saheeh aqeedah ka malik ho, namaz ka paband ho aur shareyat ka mukammal paband ho aur kisi barri mohlik bemari ka mareez na ho, kamzor dil naa hou khas tor per dil ka mareez naa hon, keon kay aise amliyat e hazirat wa taskheerat mei dil mei dar aur khof peda nahi hona chahiay.

Tarkeeb-E-Amal:

Kisi pak wa saf jagah per musalla(jaye namaz) bichaye aur pak saf libas pehane aur khushboo ittar, ood, agarbatti(non alcoholic) istemal kiya jaye, “Surah….. ….. …..” agar zubani yad hou tou bohat behtar hai warna nazrah bilkul drust talaffuz kay sath mashq hona zaroori hai. Bad Namaz e Isha apnay gird “aayat ul kursi” aur “surah ikhlas” (11×11) parrh kar apnay gird hisar khecnh lain, Dil kou tamam dunyavi kheyalat se pak saf kar kay kamil yaksooye kay sath “Surah Shareef” (40) mrtba telawat karen.

Isi tarah yeh amal (40) din tak jari rehna chahiay, waqt aur jagah aik hona chahiay, doran-e-amal koi dosra insan qareeb naa aaye, (40) din amal kay doran nehayat khofnak shakal walay chand insan qareeb aayen gay aur apni harkaton se darayen gay. Amil kou bilkul darna nahi chahiay woh koi nuqsan nahi pohncha saken gay bas khof peda karen gay, agar amil hisar chorr kar bhag nikla tou nuqsan pohanch sakta hai. Ab woh thorri dair dara dhamka saken gay aur jab dekhen gay kay amil sabit qadam aur pukhta iraday ka malik hai, tou barray adab se salam pesh karen gay aur pochain gay hamen keon talab kiya…?

Phir Amil salam ka jawab denay kay bad unse kahay kay “Mei aap se dosti karna chahta houn aur jab mujhay zaroorat hoge aap logoun kou talab kar liya karun ga” woh log jou asal mei Jinn hain Amil kay tabay ho jaayen gay. Jab bhi amil kisi jayez zaroorat kay liay unkou bulaye ga woh fori hazir hongay aur amil ki madad karen gay, Yeh amal qurani hai hazaaron amileen ka aazmaya hoa hai.

Amal Ki Zaroori Hadayat:

1- Neyyat e amal karna zaroori hai, amal shuroo karnay se qabal aapki neyyat zuban aur dil se yeh hou kay mei jinnat ki hazirat wa taskheer kay liay amal kar raha houn.

2- Amal kisi arooj mah mei naik din se shuroo kren.

3- Pehlay kisi bewa aurat , yateem , miskeen ya kisi ghareeb zaroorat mand kou apni isteta’at kay mutabiq sadqa wa kherat karen phir amal shuroo karen.

4- Aise hazrat jin per pehlay se koi bandish ya jadu , jinnat kay asrat houn woh pehlay apna ilaj krwayen phir amal shuroo karen.

5- Rozana taza ghusal kar kay ba’wuzu hokar amal parrha karen.

6- Prehez mei bas itna hai kay amal se 2 ghanaty pehlay kuch mat khayen aur jagtay rahen, halki ghiza jald hazam honay wali sard taseer istemal karen.

7- Kisi se apnay amal ka zikar hargiz mat karen, larrai jhagrra bilkul mat karen, kam bolen zeyadah khamosh rahen bas farigh waqt mei zikr, azkar krtay rahen, rat amal khatam krny kay bad beghair kisi se bat kiay so jaayen.

Note:- Amal Mukammal Tareeka Aur Ijazat Ka Hadiya Inr 5500/- hai, hadiya keon letay hain yeh aap kou kisi alag post mei btayen gay, agar koi amal ka hadiya adaa nahi kar sakta ya (40) din tak nahi beth sakta woh hamen contact kar kay fazool behas mat karay.